Monday, August 25, 2008

Farewell Ahmed Faraz!



so yeh javaab hai meraa meray udu kay liyay
keh mujh ko HirS-e karam hai nah Khauf-e Khamiyaazah
usay hai satwat-e shamsheer par ghummaND bahut
usay shikoh-e Qalam kaa nahiN hai andaazah

meraa Qalam naheeN kirdar us muHaafiz kaa
jo apnay shehr ko meHSoor kar kay naaz karay
meraa Qalam naheeN kaasah kisi subuk-sar kaa
jo GhaaSibooN ko QaSeedooN say sarfaraz karay

meraa Qalam naheeN auzaar us naQab-zan kaa
jo apnay ghar ki hi chat meN shigaaf Daaltaa hai
meraa Qalam naheeN us duzd-e neem shab kaa rafeeQ
jo bay charaaGh gharooN par kamaNd uchaaltaa hai

meraa Qalam naheeN meezaan aisay Aadil ki
jo apnay chehray peh dohraa niQaab rakhtaa hai
meraa Qalam naheeN tasbeeH us mubballiGh ki
jo bandagi kaa bhi har dam Hisaab rakhtaa hai

meraa Qalam to amaanat hai meray logooN ki
meraa Qalam to adaalat meray zameer ki hai
isi liyay to jo likhaa tapaak-e jaaN say likhaa
jabhi to loch kamaaN kaa, zubaan teer ki hai

so,

maiN kaT girooN keh salaamat rahooN, yaQeeN hai mujhay
keh yeh HiSaar-e sitam koie to giraa'ay gaa!
tamaam umr ki eezaa naSib'iyooN ki Qasam
meray Qalam kaa safar raa'egaaN nah jaa'ay gaa!

No comments: